Ek Machhar by Nana Patekar song Lyrics and video
Artist: | Nana Patekar |
---|---|
Album: | Single |
Music: | Anand Shrivastav, Milind Shrivastav |
Lyricist: | Sameer |
Label: | Zee Music |
Genre: | Motivational |
Release: | 2020-01-08 |
Lyrics (English)
Ek Machhar lyrics, the song is sung by Nana Patekar from Yeshwant (1997). The music of Ek Machhar Motivational track is composed by Anand Shrivastav, Milind Shrivastav while the lyrics are penned by Sameer. Ek machhar, Ek machhar sala aadami ko Hizda bana deta hai Ek khatmal puri rat ko apahij kar deta hai Ek machhar sala aadami ko Hizda bana deta hai Mat aao mere pas rahne do mujhe akela Ladne do mujhe apni ladayi Kabhi na kabhi to jhut ka Gala ghotegi sachayi, Lekin sala ek machhar aadami ko Hizda bana deta hai Subha ghar se niklo Bhid ka ek hisa bano Sham ko ghar jao, Daru pio, bache paida karo Aur subha talak phir ek bar mar jao Kyoki aatma aur andar ka Insan mar chuka hai Jine ke ghinone Samjhote kar chuka hai Sala ek machhar aadami ko Hizda bana deta hai Uchi dukan fika pakwan Khaddar ki langoti Chandi ka pikdan so Mein se assi baiman phir Bhi mera desh mahan atozlyric.com Topi lagaye machhar kahta hai Desh ke logo mein Samta ki bhawana aa rahi hai Isiliye to badi machhali Chhoti ko kha rahi hai Hamare chune huye kute, Hume hi kate hai Humare hisse ki rotiya Apas mein batate hai Human us gand se bhari unki Aawaj se nange raste kapte hai Kal peda huye bache, Ek saans lete huye hapte hai Saitano ki najayaj aolad Tahalkha macha rahi hai Aur hum hum bhagwan ke Chahite janwar insan Zindagi ko gali banaye Bethe hai kya kare, sala Sala ek machhar aadami ko Hizda bana deta hai Giro salo giro giro giro lekin giro to Us jharne ki tarha jo parwat ki uchai se Gir ke bhi apni sundarta khone nahi deta Zamin ke tah se milke bhi Apne astitav ko nasht nahi deta Lekin itana sochane ke liye Waqt hai kiske pas, kyoki Sala ek machhar aadami ko Hizda bana deta hai Mandir, masjid ki ladayi mein Mar gaye lakho insan Dharam aur mjhab ke naam par Ho gaye hajaro kurban Jis ne anyay ke Virodh mein bali ko mara, Rawan ko mot ke ghat utara Punya ko paap se ubhara, Mujhe us ram ki talash hai magar Lagta hai is yug ke Ram ko aajivan vanvas hai, kya kare Kyoki, sala ek machhar Aadami ko hizda bana deta hai Ye machhar, ye machhar, Jiska kichado me ghar hai Naliyo me basera hai, Iski pehchan Ye hai ke ye na tera hai na mera hai Ye machhar hizda bana dega, Hizda bana dega Kabhi saitan aayenge, Mere darwaje par dastak denge Jahan ki talashi lege, Phir jal uthenge, Us waqt main daruga nahi Apne sharir ko dhal, Hath ko talwar banaunga, Ek na ek din to Tum mera hath chumoge, karo, Aaj mujhe badnaam karo nilam karo Nilami ke liye kya hai mere pas, Bas jalte huye aansuo ka aeshas Magar, magar main tumse badala luga, Tumhari aakhiri boli par Mere do saanso ke bich ka thaherav Tumhe fokat me duga, Kyoki salo ek machhar Ne tumhe hizda bana diya hai. Atozlyric.com is now on Facebook , Pinterest , Twitter and Instagram . Follow us and Stay Updated.
About: Ek Machhar lyrics in Hindi by Nana Patekar, music by Anand Shrivastav, Milind Shrivastav. Includes YouTube video and lyrics in multiple languages.