Naamkarann (Title) by Monali Thakur song Lyrics and video
Artist: | Monali Thakur |
---|---|
Album: | Single |
Music: | Anu Malik |
Lyricist: | Kausar Munir |
Label: | |
Genre: | Happy |
Release: | 2020-01-09 |
Lyrics (English)
Naamkarann (Title) lyrics, the song is sung by Monali Thakur from Naamkarann (2016). Naamkarann (Title) Happy soundtrack was composed by Anu Malik with lyrics written by Kausar Munir. Ae zindagi qatra hoon main Ya main hoon dariya tumhara Ae zindagi zarra hoon main Ya main hoon saara zamaana Ik baar aankhen milaa ke bata de Kyaa naam hai mera… Chaand hoon main yaa chaand ka tukda Ya main hoon daag tumhara Ae zindagi qatra hoon main Ya main hoon dariya tumhara Ae zindagi zarra hoon main Ya main hoon saara zamaana Main chadhta savera Ya hoon kaali raat Ya mit mit ke banti hui kainaat Main girta sitaara hoon Ya hoon falak Ya waqt ki aankhon se tooti palak Hai ugte sooraj ki mujh mein tapish Hai jalti sitaaro ki mujh mein khalish Ya mitti ka chota sa main hoon diya Maa ne se re raaz roshan kiya Ae zindagi main roshni Ya main andhera tumhara Ae zindagi main hoon marhan Ya zakhm main hoon purana Ik baar aankhen milaa ke bata to Kya naam hai mera Chaand hoon main ya chaand ka tukda Ya main hoon daag tumhara Ae zindagi katra hoon mein Ya main hoon dariya tumhara Ae zindagi zarra hoon main Ya main hoon sara zamana Main mitti mein hoon main chattano mein bhi Main oas mein hoon Main toofaano mein bhi Ik naam mein kese samaa paungi Main banjar mein hoon Mein baharon mein bhi Main vaani gurbaani azaano mein bhi Main vedon mein hoon Main quran mein bhi Ek dhaam mein kese sama paungi Main gumbad main hoon Main minaaron mein bhi Ae zindagi main hi aliph Main omkara tumhara Ae zindagi main hi khudi Main khudara tumhara Ik baar aankhen milake bata to Kya naam hai mera… Chaand hoon main ya chaand ka tukda Ya main hoon daag tumhara Ae zindagi qatra hoon mein Ya main hoon dariya tumhara Ae zindagi zarra hoon main Ya main hoon saara zamaana Ik taara meera ka Doha kabeere ka Ik taara meera ka Doha kabeere ka Main khaali pyaala hoon pagle fakire ka Aaghaaz koi na anjaam hai Mera toh kaoi bhi nahi naam hai atozlyric.com To kyun tere rakhwaale ghere lagate hain Rasmon ke pinjre mein qaid karaate hain Kyun daam dete hain thappa lagaate hain Mujhse kyun main ki jung karaate hain Jung karaate hain Jung karaate hain… Main behti nadi hoon mujhe rehne do Main pal pal sadi hoon mujhe rehne do Dhaara ki tarah main zameeno mein Main dhool ki tarah Main hoon asmaano mein Teri hi beti hoon ae zindagi Mitaaye mitungi na main do jahano se Ae zindagi tu hai meri Main hoon sirhaana tumhara Ae zindagi ik sach yehi Baaki hai jhoota fasaana Ik baar aankhen milaa ke to maano Nahi koi naam mera Nahi koi naam mera Nahi koi naam mera Naamkaran Nahi koi naam mera Naamkaran Nahi koi naam mera Naamkaran Nahi koi naam mera Naamkaran Nahi koi naam mera… Atozlyric.com is now on Facebook , Pinterest , Twitter and Instagram . Follow us and Stay Updated.
About: Naamkarann (Title) lyrics in Hindi by Monali Thakur, music by Anu Malik. Includes YouTube video and lyrics in multiple languages.