Koh-Qaf by Satinder Sartaaj song Lyrics and video
Artist: | Satinder Sartaaj |
---|---|
Album: | Single |
Music: | Satinder Sartaaj |
Lyricist: | Satinder Sartaaj |
Label: | Satinder Sartaaj |
Genre: | Pop |
Release: | 2025-02-28 |
Lyrics (English)
LYRICS OF KOH-QAF: The Punjabi song is sung by Satinder Sartaaj from Satinder Sartaaj . KOH-QAF is a Pop song, composed by Satinder Sartaaj , with lyrics written by Satinder Sartaaj . Main koh-kaafon mein Firta hoon aawara Kabhi makdoonia Kab hoon bukhara Main us parda-nashin ko dhundta hoon Kahin to maah-jabin ka ho nazara Main koh-kaafon mein Firta hoon aawara Kya rukhsaar ki kahiye Pari si hu-b-hu thi Koi khushbu nashili si bhi Uske chaar su thi Ke jannat mein bana libaas uska Ke wo firdaus ka koi sitara Main koh kaafon mein Firta hoon aawara Kabhi makdoonia Kab hoon bukhara Kasak si hai ye ke dil mein ke Main ab iran jaun Main dhundu misar mein usko Yaan fir yunaan jaun Kahin se dilruba aawaz de de Hassin aankhon ka mil jaaye nazara Main koh kaafon mein Firta hoon aawara Kabhi makdoonia Kab hoon bukhara Main sadqey jaun Sharmaane se parda-daarion se Thi bikhri sard-muskaahat Surkh chingaarion se Ye dil aadaar hai Bedaar bhi hai Ke wo jalwa dikhana fir dobara Main koh-kaafon mein Firta hoon aawara Thi naazuk es kadar ke Gull ko bhi aaye pasina Blaa ki khoobsurat wo Gazal jaisi hasina Ke resham si poshaakon mein tha lipta Gulabi dehkta koi sharara Main koh kaafon mein Firta hoon aawara Kisi shayer ka khat aaya Ke wo lahore se hai Mujhe shak hai Wo mere gaaon se Bajraur se hai Usi punjab ki purnoor malika Koi sartaaj hai uska sahara Main koh kaafon mein Firta hoon aawara Main koh kaafon mein Firta hoon aawara Kbhi makdoonia Kb hoon bukhara Main us parda nashin ko dhundta hoon Kahin to maah jabin ka ho nazara Kahin to maah jabin ka ho nazara Main koh kaafon mein Firta hoon aawara Atozlyric.com is now on Facebook , Pinterest , Twitter and Instagram . Follow us and Stay Updated.
About: Koh-Qaf lyrics in Punjabi by Satinder Sartaaj, music by Satinder Sartaaj. Includes YouTube video and lyrics in multiple languages.