Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko by Lata Mangeshkar song Lyrics and video
Artist: | Lata Mangeshkar |
---|---|
Album: | Single |
Music: | Datta Naik |
Lyricist: | Sahir Ludhianvi |
Label: | Saregama |
Genre: | Sad |
Release: | 2020-01-08 |
Lyrics (English)
Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Sadhna (1958). Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko Sad soundtrack was composed by Datta Naik with lyrics written by Sahir Ludhianvi. Aurat ne janam diya mardo ko Mardo ne use bazar diya Jab ji chaha masla kuchla Jab ji chaha dutkar diya Aurat ne janam diya mardo ko Tulati hai kahi dinaro me Bikti hai kahi bazaro me Nangi nachavai jati hai Aiyyasho ke darbaro me Ye vo beizzat chiz hai jo Bat jati hai izzatdaro me Aurat ne janam diya mardo ko atozlyric.com Mardo ke liye har zulm ravaan Aurat ke liye rona bhi khata Mardo ke liye lakho seje Aurat ke liye bas ek chita Mardo ke liye har aish ka haq Aurat ke liye jina bhi saza Aurat ne janam diya mardo ko Jin hotho ne inko pyar kiya Un hotho ka vyapar kiya Jis kokh me inka jism dhala Us kokh ka karobar kiya Jis tan se uge kopal ban kar Us tan ko zalil-o-khar kiya Aurat ne janam diya mardo ko Mardo ne banayi jo rasme Unako haq ka farmaan kaha Aurat ke zindaa jalne ko Kurbani aur balidaan kaha Kismat ke badle roti di Usako bhi ehsaan kaha Aurat ne janam diya mardo ko Sansaar ki har ek besharmi Gurbat ki god me palti hai Chakalo me hi aa ke rukati hai Faako se jo raah nikalati hai Mardo ki havas hai jo aksar Aurat ke paap me dhalti hai Aurat ne janam diya mardo ko Aurat sansaar ki qismat hai Fir bhi taqdir ki heti hai Avatar payambar janati hai Phir bhi shaitan ki beti hai Ye vo badaqismat maa hai jo Beto ki sez pe leti hai Aurat ne janam diya mardo ko Aurat ne janam diya mardo ko Mardo ne use bazar diya Jab ji chaha masla kuchla Jab ji chaha dutkar diya Aurat ne janam diya mardo ko. Atozlyric.com is now on Facebook , Pinterest , Twitter and Instagram . Follow us and Stay Updated.
About: Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko lyrics in Hindi by Lata Mangeshkar, music by Datta Naik. Includes YouTube video and lyrics in multiple languages.