Govardhan Girdhari by Narci, Divya Kumar song Lyrics and video
Artist: | Narci, Divya Kumar |
---|---|
Album: | Single |
Music: | Xzeus |
Lyricist: | Narci |
Label: | Narci |
Genre: | Hip Hop |
Release: | 2025 |
Lyrics (English)
GOVARDHAN GIRDHARI LYRICS: The song is sung by Narci and Divya Kumar and released by Narci label. GOVARDHAN GIRDHARI is a Hip Hop song, composed by Xzeus, with lyrics written by Narci. Hey bansuri ki dhun par jhoome naache jag saara Hey bansuri ki dhun par jhoome naache jag saara Chalo dwapar ke vrindavan mein Leela sunata hoon fir se tumhe Leela anek par ab main bataunga Shachipati ko kyun kanha chubhe Pooja ki tyari mein saare they vyast Tyari ko dekh kiya kanha ne vyakt Rahe vilaas mein dooba jo samast Kaise wo dev zara bolo ye sab Kanha ko log they yehi batate Indra ki aise na stuti hai gaate Meghon ke raja wo hue jo rusht To vrindavan vaasi reh jayenge pyaase Kanha to bole hey stree va purush Prabhu kab dete hai logon ko kasht Prabhu to harte hai peeda ko ulta Prabhu to bhakton se hote na rusht Gusse mein bhala wo honge kyun garm Varsha to indr ka dena hai dharm Hari aadeshon ko karte hai paalan Swyam nahi wo hari hai par Govardhan ki pooja kare Jahan pe saaron ki gaiya chare Kare govardhan ka milke aabhaar Jisse chale vrindavan ka vyapaar Pahaunche samvartak indra ke dwar Sunaya unhone tha ye samachaar Indra ka utha tha krodh kuch aise Jaise haan sagar mein prakhar jwar Bola ki kaise dussaahas hua Nirnay ye logon ka ghaatak hua Kiske haan kehne pe tyaga mujhe Aisa bhala kaun shaasak hua Bola samvartak hai balak koi Nand ka beta na nayak koi Kehte hai krishn use sabhi Sabko manaane karan wohi Shachipati ka jaga tha kop Raha tha gusse mein yehi wo soch Pooja na kari thi meri inhone Saare sahenge ab mera prakop Chakr utha ke jisne chakar utha ke jisne Badali samay ki dhara dhara dhara dhara Mera krishna kanhaiya kaara O mera krishna kanhaiya kaara Mera krishna kanhaiya kaara O mera krishna kanhaiya kaara Diya samvartak ko fir tha aadesh Nikaalo tumhare wo pralay ke megh Logon ke gaanv mein karo pravesh Indra ka thama na zara bhi dvesh Dikha do vipatti ka aisa asar Varsha mein choro na koi kasar Paani ka kar daalo ooncha haan star Paani se bhar daalo saaro ke ghar Galti bhi jayegi tabhi sudhar Dekhenge jab aisa ye darr Kaampenge logo ke tabhi adhar Indra ko poojega tabhi to swar Chala samvartak karne ko naash Aandhi ko bheje wo khade aakash Dekha tha logon ka jaise hi traas Bijli ka karta tha wo to prakaash Logon ne bola ye kya kiya kanha Krodh mein baithey hai meghon ke raja Kyun hi thi maani baat tumhaari Rokoge kaise haan naash bhi taaza Sabko haan bole they kanha atal Hrdy mein chinta ko lena na bhar Chalo govardhan ko bole they wo Parvat hi banega raksha ka ghar Bole govardhan ko jhuka ke sar Aaye sharan mein naari aur nar Karo sahayog bola unhe Parvat ke neeche laga daala kar Hari se chalta hai saara sansaar Logon ki sune wo kyun na guhaar Ek hi anguli pe rakha prabhu ne Dekho govardhan ka saara hi bhaar Leela ye dekh saare achambhit Parvat ke neeche they saare upasthit Samay tha hari ki leela se ranjit Megho ka raja bhi hua prakampit Govardhan ke neeche padhaare Gaiya ki bheed saare gvaale Shachipati na khud ko sambhale Baitha airavat mein khaata ubaale Baitha airavat mein vajr nikaale Wo to govardhan pe bijli ucchale Hari ne sahi na uski kriya Kari paraajay thi uske hawale Vrindavan ka tu nandan Mathura ka tu manmohan Tu pritam hai gopiyon ka Tan man dhan tujhko arpan Hari ko jaise wo gaya pehchaan Bola ksham karo kripa nidhaan Samjha tha main jise balak naadan Wo they saare srshti ke praan Indra ko jaise hi hua tha gyaan Hari ne diya tha ksham ka daan Hari ki yog maya mein fas Saka nahi tha wo unhe pehchaan Kshma na hoga par wo vichaar Jahan baja abhimaani sitar Jo tha kartvy tumhe nibhaana Use they maan baithey adhikaar Indra they bole ye bhool prabhu Kshma karo hey shreenivaas Dharm nibhana main gaya tha bhool Andha hua tha prabhu ka daas Maa kaamdhenu hui prakat bharatlyrics.com Boli ki jaagi hai gyaan lapat Kshma karo ab dayaanidhi Gaya tha daas thoda bhatak Suni thi maata ki jaise hi baat Hari ka gussa bhi hua tha shaant Kiya kshma fir meghon ke raja ko Laga ki naya sa hua prabhaat Tu yashoda ka baala Tu nand ka dulara Mera krishna kanhaiya kaara O mera krishna kanhaiya kaara Mera krishna kanhaiya kaara O mera krishna kanhaiya kaara Is srshti ka bas tu hi Bas tu hi ek sahara Bharatlyrics.com is now on Facebook, Pinterest, Twitter and Instagram. Follow us and Stay Updated.
About: Govardhan Girdhari lyrics in Hindi by Narci, Divya Kumar, music by Xzeus. Includes YouTube video and lyrics in multiple languages.