Milti Hai Ahledin Ko Rahat by Suman Kalyanpur song Lyrics and video
Artist: | Suman Kalyanpur |
---|---|
Album: | Single |
Music: | Bipin Dutt |
Lyricist: | Anwar Farrukhabadi |
Label: | Saregama |
Genre: | Prayer |
Release: | 2020-01-09 |
Lyrics (English)
Milti Hai Ahledin Ko Rahat lyrics, the song is sung by Suman Kalyanpur from Alam Ara Ki Beti (1960). The music of Milti Hai Ahledin Ko Rahat Pray track is composed by Bipin Dutt while the lyrics are penned by Anwar Farrukhabadi. Milti hai ahledin ko rahat namaz me Poshida hai khuda ki mohabbat namaz me Milti hai ahledin ko rahat namaz me Poshida hai khuda ki mohabbat namaz me Sun kar azaan jo koi maszid me jayega Jannat me apna ghar wo yakinan banayega Allah ka karam hai namazi ke waste Sirdash hai naram hai namaze ke waste Majhab ke har asul ki sartaj hai namaz Or aashiqon ke waste me mehraz hai namaz Mashur hai yeh ek namazi ka wakiya Sahid ki vidai ka gazi ka wakiya Rahe khuda me ladne chala ek nojawa Ruksat hua jo beta to boli yeh uski ma Rakha asul pak ki farman ka khyal Ek waqt ki namaz bhi chhute na mere lal Jannat ki hai yeh punji bujurgo ki ray me Gazi namak padhte hai devo ke saye me Samjha chuki jab apni chahete ko pyari maa Wada kiya namaz ka ruksat hua jawa Duniya judaai ka ye sama dekhti rahi Beta chala jihaad ko maa dekhti rahi Kurban hone raj dulara chala gaya Afsos budhi maa ka sahara chala gaya Mamata tadap ke rah gayi arman so gaye Kal kissa is tarah se kayi sal ho gaye Maa ki har ek aarzu gum se badal gayi Bete ka khat na aaya na koi khabar mili Lekin wo har namaz me karti thi yeh dua Allah muh dikhana mujhe mere lal ka Ek din ka wakiya hai ke jab padh chuki namaz Kahne lagi khuda se ke aye rabdekar saj Ro ro ke tere samne kab tak dua karu Aaye wo din ke sukhar ka sajda ada karu Mashul thi dhadkano me wo bejuda Or us taraf dikhata hai manjar ye aasma Ek jakham sa kaleje pe taja liye huye Kuch log aa rahe hai janaja liye huye Ranjo alam se unka jigar pas pas hai Kandhe pe ek jawan mujahid ki lash hai Afsos budhi maa ko isi ki talash thi Wo lash us garib ke bete ki lash thi Rakha gaya janaja jab uske makan par Bijli si ek chamakne lagi aasman par Andaher hai jamane pe koi asar nahi Bete ki lash aayi hai maa ko khabar nahi Dekhegi lash maa to kayamat uthayegi Maiyyat jawan bete ki dekhi na jayegi Kya jurm hai sitam hai idhar mar gaya jawa Or us taraf khuda se dua mangti hai maa Wakif hai tu garib abhagan ke hal se Allah ab mila de tu mujhe apne lal se Aayega mera lal to dudha banaunga Mai uske sar pe phoolo ka sehra sajaungi Hai ek hi to aasra wo mujh garib ka Ghar ka chirag hai to ujala nasib ka Jab mang kar dua uthi wo sahe benasib Dekha tamam logo ne ye wakiya azib atozlyric.com Aisa asar dihkaya duao namaz ne Murde me jaan dal di us benayaz ne Hairat se dekhne laga har chota or bada Beta utha or amma ke kadmo pe gir pada Kya lutf hai namaz pe yeh man jaiye Yani khuda ki shan ke kurban jaiye Kurban jaiye kurban jaiye Kurban jaiye kurban jaiye. Atozlyric.com is now on Facebook , Pinterest , Twitter and Instagram . Follow us and Stay Updated.
About: Milti Hai Ahledin Ko Rahat lyrics in Hindi by Suman Kalyanpur, music by Bipin Dutt. Includes YouTube video and lyrics in multiple languages.