Allah Karam Karna by Suman Kalyanpur song Lyrics and video
Artist: | Suman Kalyanpur |
---|---|
Album: | Single |
Music: | Usha Khanna |
Lyricist: | Gauhar Kanpuri |
Label: | Saregama |
Genre: | Devotional |
Release: | 2020-01-08 |
Lyrics (English)
Allah Karam Karna lyrics, the song is sung by Suman Kalyanpur from Dada (1979). The music of Allah Karam Karna Devotion track is composed by Usha Khanna while the lyrics are penned by Gauhar Kanpuri. Hum sabko nek raah Chalana mere allaah Bandon ko buraai se Bachana mere allaah Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna Ik vaakayaa sunaati hun Main apni zubaani Apne badon se maine Suni hai ye kahaani Rehtaa thaa kisi shehar Mein ek aisa bhi insaan Jo naam ka muslim tha Magar kaam ka shaitaan Zaalim ko zor e baazu Pe apne gurur thaa Yaani ke bekhudi mein Khuda se wo dur thaa Sab log use kehte thhe Jallaad sitamgar Maasum ki fariyaad Ka us pe na tha asar Jo waadaa us ne kar liyaa Wo kar ke dikhaayaa Paison ke liye qatl Kiye khun bahaya Ik din wo behtaa khun Asar us pe kar gayaa Insaan zindaa ho gayaa Shaitaan mar gayaa Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna Imaan jise kehte hain Farmaan e khuda hai Quraan ke har lafz Mein us ki hi sadaa hai Allaah ne bakshi hai Jo imaan ki daulat Ye sab se badi chiz Hai insaan ki daulat Soye huye dilon ko Jagata hai ye imaan Bhatke huyon ko raah Dikhaataa hai ye imaan Imaan ki garmi se Pighal jaate hain patthar Is nur se bante hain Sanwarte hain muqaddar Jo sab se pyaar karta Hai insaan wohi hai Muslim hai wohi Saahib e imaan wohi hai Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna atozlyric.com Jis kaam ke karne pe Na ho raazi koi dil Wo kaam bhi is duniya Mein nafrat ke hai kaabil Jo kuchh bhi zubaan Keh de wo iqraar nahin hai Laghzish hai labon ki Wo gunehgaar nahin hai Jo dil se nahin karta Buraai ka iraadaa Allaah se wo taubaa Kare tod de waadaa Jaldi jo sambhal jaaye Wo nadaan nahin hai Imaan jis mein ho Wo beimaan nahin hai Duniya mein hameshaa To nahin rehtaa andheraa Insaan jahaan jaage Wahin pe hai saveraa Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna Jo sacche dil se karta Hai imaan ki aarzu Allaah ki nazaron mein Wo hotaa hai surkh ruh Imaan mein kya kya Na sahaa pyaare nabi ne Kya aisi musibat bhi Utthaayi hai kisi ne Karbal ke shahidon ne Sabak hum ko padhaayaa Sajde mein de ke jaan Ko imaan bachaayaa Iss raah mein jo sehte Hain taqlif o musibat Ik roz un pe hoti Hai allaah ki rehmat Insaan hai wo jo dusron Ka dil na dukhaaye Pad jaaye agar jaan Pe to jaan lutaaye Allaah karam karna Maula tu reham karna Allaah karam karna Maula tu reham karna. Atozlyric.com is now on Facebook , Pinterest , Twitter and Instagram . Follow us and Stay Updated.
About: Allah Karam Karna lyrics in Hindi by Suman Kalyanpur, music by Usha Khanna. Includes YouTube video and lyrics in multiple languages.